Lyrics of Kaha Hai Chota Chetan - कहाँ हैं छोटा चेतन
ye kon hai chota chetan
are kaha hai chota chetan
are mantar jantar tantar yantar
kaisa hai chota chetan
dekho mota
ise chota chetan ho mila
aao to kare sawal
chakram bech ke so raha
ye motu kaun hai
chota chetan hai
iska naam puchh kar aao na
ha aao na
are pyare pyare baccho
are nanhe munne baccho
tum mere paas aao
mai tumko batau
ke kaha hu, kaisa hu mai
dekho mai hi hu chota chetan
pyara pyara tumhara chetan
are jantar se dekho tum
tantar se dekho tum
pass tumhare hu mai
kya tum ho kuve me
ya kuve ke pani me
are humko batao shakl to dikhao
ke karni hai baate hume
mai hu is bartan me
mujhe bandha hai mantar me
are tod do isko tum
are fod do isko tum
aaunga fir paas mai
mantar kate, dost ho to jantar kate
jo bhi hai khwaish tumhari
ha chah tumhari, mai puri karu
mera naam ha ji mera naam
chetan hai mera naam
chaho tum jo bhi
mai jadu se de du, wo hi pal me
ye lo, ye lo, ye lo
tera ye kaarnama, are tera ye kaarnama
are mantar yu padhke patal lok me
tujhe pahuncha dunga mai
are mantaro ki shakti teri
haar jayegi mere aage
hadh paar ye karke
badal ko chhuke, bahar aa jaunga mai
rokunga mai, aise na chodunga mai
tujhko jala du mai, jadu ki aag me
ja tu jaan bacha
jinda khada dekh mai
mere aage tu kuch bhi nahi
mai malik hu marji ka
tera kaidi nahi
tera kaidi nahi mai
dekh mai kaise jadu ke vaar se
kaat du tujhe
tujhko mantar tantar se hi bhasm kar du re
mantar maat, tantar mantar maar
yantar jantar maar
yu hi jadu ke jor se bas me karunga tujhe
ye lo, ye lo