Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kabse Hu Kya Batau Jahane Kharab Me
|
Jagjit Singh | Jagjit Singh | ||||
Tera Bayaan Ghalib (Jagjit Singh) (0) | Mirza Ghalib | Ghazals | |||||
quasid ke aate aate
khat ek aur likh rakhu
main janta hu jo
wo likhenge jawab me
kab se hu kya bataun
jahan e kharab mein
kab se hu kya bataun
jahan e kharab mein
shab haye hijr ko bhi
rakhun gar hisaab mein
mujh tak kab unki bazm mein
aata tha daur e zaam
mujh tak kab unki bazm mein
aata tha daur e zaam
saaqi ne kuch mila na
diya ho sharaab mein
ta fir na intezaar mein
neend aaye umr bhar
ta fir na intezaar mein
neend aaye umr bhar
aane ka ahad kar gaye
aaye jo khwaab mein
ghalib chhuti sharaab
par ab bhi kabhi kabhi
ghalib chhuti sharaab
par ab bhi kabhi kabhi
peeta hoon roz e abr
o shab e maahtaab mein
kab se hoon kya bataun
jahaan e kharaab mein
shab haye hijr ko bhi
rakhu gar hisaab mein