Lyrics of Kaash Kabhi To - काश कभी तो उनकी खिड़की
kaash kabhi to unki khidaki
ek baar khul jaati
aur hawa se unke chehre ki
naqaab hat jaati
kaash kabhi to unki khidaki
ek baar khul jaati
aur hawa se unke chehre ki
naqaab hat jaati
ho jaata deedar kaash
anjaane rukhsaro ka
waah taqdeere isharon ka
un naino ke baaro ka
ho jaata deedar kaash
anjaane rukhsaro ka
waah taqdeere isharon ka
un naino ke baaro ka
rukh par jo chhai baalo ki
aaj ghata hat jaati
chhupi hui gehraai
palko ki thodi ghat jaati
kaash kabhi to, kaash kabhi to
kaash kabhi to unki khidaki
ek baar khul jaati
aur hawa se unke chehere ki
naqaab hat jaati
itane din se jee na raha thaa
ek baar jee jaata
luta zindagi ki bisaat par
maat na aisi khaata
itane din se jee na raha thaa
ek baar jee jaata
luta zindagi ki bisaat par
maat na aisi khaata
teekhi nazar katili meri taraf kbhi uth jaati
phir chahe aa jaaye qayamat
ya dharti phat jaaye
kaash kabhi to, kaash kabhi to
kaash kabhi to unki khidaki
ek baar khul jaati
aur hawa se unke chehere ki
naqaab hat jaati
hay unhone kabhi na dekha
maine unhen na jaana
jaane kabse chhupa salona
roop raha anjaana
hay unhone kabhi na dekha
maine unhen na jaana
jaane kabse chhupa salona
roop raha anjaana
agar tilishmi moorat ki
surat thodi dikh jaati
kalam hamari ek kahani
nayi nayi likh jaati
kaash kabhi to unki khidaki
ek baar khul jaati
aur hawa se unke chehere ki
naqaab hat jaati