Lyrics of Kaari Kaari (Reprise Version) - कारी कारी (रेप्रिसे वर्शन )
kaari, kaari saundhi ankhiya
kaise bole mann ki batiyan
kise dhundhe aaine mein, hai kaid ratiyan re
kaari kaari saundhi ankhiya, raah dekhe beeti sadiyan
kahi gunje teri yaadein, firak mein hi haari
kaari kaari saundhi ankhiyan
kaise bole mann ki batiyan
tera jaisa hi dikhta hai aksh tera
par khud mein hi ek duniya hai aksh tera
tera jaisa hi dikhta hai aksh tera
par khud mein hi ek duniya hai aksh tera
haaannn, aaa
maazi ko maazi rehne de
ankhiyon se nadiya behne de
fir se in waqt ke tukdo ko
rab ki farmaish sehne de
shakhon se kaliyan tuti hai
jabse tu khud se yu roothi hai
zara dekh gaur se o saiyaa
aksh ye tera tu hi hai
tera jaisa hi dikhta hai aksh tera
par khud mein hi ek duniya hai aksh tera
tera jaisa hi dikhta hai aksh tera
par khud mein hi ek duniya hai aksh tera
kaari kaari saundhi ankhiya, raah dekhe beeti sadiyan
kahi gunje teri yaadein, firak mein hi haari
kaari kaari saundhi ankhiyan, kaise bole mann ki batiyan