Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Kaali Ghataa Chhaaye Moraa Jiyaa Tarasaaye
|
Asha Bhosle | Sachin Dev Burman | Sunil Dutt, Nutan | |||
Sujata (1959) | Majrooh Sultanpuri | Rain Songs | |||||
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
aise mein kahin koyi mil jaaye re
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
aise mein kahin koyi mil jaaye
bolo kisi ka to kya jaaye re
kya jaaye re kya jaaye
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
hoon main kitni akeli wo yeh jaante
mere be-rang jeewan ko pehchaante
hoon main kitni akeli wo yeh jaante
mere be-rang jeewan ko pehchaante
mere haathon ko thaame hanse aur hansaaye
mera dukh bhulaaye kisi ka kya jaaye
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
inhi bagiyan mein doloon main khoyi huyi
na to jaagi huyi si na soyee huyi
inhi bagiyan mein doloon main khoyi huyi
na to jaagi huyi si na soyee huyi
mere baalon mein
koyi dheere se aaye kaliyaan sajaaye
kisi ka kya jaaye kaali ghata chhaaye
mora jiya tarsaaye
us ki raahen takoon talmalaati phiroon
har aahat pe naina bichhaati phiroon
us ki raahen takoon talmalaati phiroon
har aahat pe naina bichhaati phiroon
wo jo aayega kal na kyun
aansu aaye meraa man basaaye
kisi ka kya jaaye kaali ghata chhaaye
mora jiya tarsaaye
aise mein kahin koyi mil jaaye re
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye
aise mein kahin koyi mil jaaye
bolo kisi ka kya jaaye re
kya jaaye re kya jaaye
kaali ghata chhaaye mora jiya tarsaaye