Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jo Milna Hai Bhagwan Se To Mil Pehle Insan Se
|
Hemant Kumar | Hemant Kumar | Pradeep Kumar | |||
Bandhan (1956) | Rajindra Krishan | ||||||
jo milna hai bhagwan se to mil pahle insan se
kaise darshan dega malik dil puchhe darban se

jo milna hai bhagwan se
jhute bhed ke bandhan aur ye unch nich ki diware

parbhu se kaise milne dengi tujhe bich ki diware
tune khud mushkil kar dale ye raste aasan se
tune khud mushkil kar dale ye raste aasan se
kaise darshan dega malik dil puchhe darban se
jo milna hai bhagwan se
lakh chatur tu bane magar wo sabse bada siyana hai

apna aash chhupakar bunta jag ka tana bana hai
chaturai na bhaye use wo pyar kare anjan se
chaturai na bhaye use wo pyar kare anjan se
kaise darshan dega malik dil puchhe darban se
jo milna hai bhagwan se
uska hona hai jo tujhko bando ka tu ho ja
apna aap mita de murakh aur usi me kho ja

nicha kar wo kam nikale jo nikle na man se