Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jo Main Aisa Jaanti
|
Geeta Dutt | Hansraj Behl | ||||
Nakhre (1951) | Bharat Vyas | ||||||
jo main aisa janti
preet ki ye dukh hoye
nagar dhindhora pitti
preet na karyo koye
koi dil na kisi se lagaye
phir na pichhe pachhtaye
jhuthi is duniya ki rit hai
o jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai
koi dil na kisi se lagaye
phir na pichhe pachhtaye
jhuthi is duniya ki rit hai
o jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai
is duniya me ek tumhi se humne nata joda
is duniya me ek tumhi se humne nata joda
aur tumhi ne bhare prem me hi
humse munh moda
koi kaise dil ko samjhaye
apne huye paraye
koi na jag me saccha meet hai
o jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai
van ki dali ke patte patjhad ke liye khile the
van ki dali ke patte patjhad ke liye khile the
hum bhi to tumse us din
is din ke liye mile the
kahe naino se nain milaye
ro ro ab nain ganwaye
haar humari unki jeet hai
o jhuthi jhuthi pardesiya ki preet hai