Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jiska Juta Usika Sar Dil Hai Chhota Bada Shahar
|
Mukesh Chand Mathur | Chitragupt | Shakila, Ajit | |||
Guest House (1959) | Prem Dhawan | Masti Bhare Geet | |||||
jiska juta usika sar dil hai chhota bada shahar
are wah re wah teri bambai
khaya dhokha gaye jidhar dekho
kismat phere kidhar
are wah re wah teri bambai
aa ke yaha kya mil gaya jeb kati aur dil gaya
rang tere iss shahar ke dekh kaleja hil gaya
aa ke yaha kya mil gaya jeb kati aur dil gaya
rang tere iss shahar ke dekh kaleja hil gaya
maal naa sahi jan to bachi bhag bhag mistar
jiska juta usika sar dil hai chhota bada shahar
are wah re wah teri bambai
meme phire aan se sath hai kutta shan se
janwar se to payar hai payar nahi insan se
meme phire aan se sath hai kutta shan se
janwar se to payar hai payar nahi insan se
dekh najanin ham bhi hain itna naj naa kar
jiska juta usika sar dil hai chhota bada shahar
are wah re wah teri bambai
pas me motarcar ho baink me tis hajar ho
pyar yaha tab kijiye mal ye jab sarakar ho
pas me motarcar ho baink me tis hajar ho
pyar yaha tab kijiye mal ye jab sarakar ho
naa to suit hai naa boot hai dekh pyar se dar
jiska juta usika sar dil hai chhota bada shahar
are wah re wah teri bambai
khaya dhokha gaye jidhar dekho kismat phere kidhar
are wah re wah teri bambai