Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jise Samjhe The Hum Afsana Kal Tak
|
Bhupinder Singh, Lata Mangeshkar | Khayyam | ||||
Ek Naya Rishta (1988) | Nida Fazli | Sad Songs | |||||
jise samjhe the hum afsana kal tak
jise samjhe the hum afsana kal tak
vo afsana hakikat to nahi hai vo afsana hakikat to nahi hai
jo humse dur bhi hai pas bhi hai
jo humse dur bhi hai pas bhi hai
kahi unse mohabbat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai
jinhe hum chhod aaye zindagi me jinhe hum chhod aaye zindagi me
vahi shamil hai har gam me khushi me
jo apna haal hai diwangi me jo apna haal hai diwangi me
udhar bhi to aisi halat nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai
har ek manzar se ek chehara banana
har ek manzar se ek chehara banana
yuhi kagaz pe kuch likhna mitana
kisi ko yaad kar kar ke bhulana kisi ko yaad kar kar ke bhulana
akelepan ki aadat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai
sazaye suni suni si hai aise sazaye suni suni si hai aise
kahi kuch kho gaya ho apna jaise
hum apne aapko bahlaye kaise hum apne aapko bahlaye kaise
ye baichaini to rahat nahi haikahi unse mohabbat to nahi hai
ye duniya yu to kahne ko wahi hai
ye duniya yu to kahne ko wahi hai
magar lagta hai ab kuch ajnabi hai
na jane kon si isme kami hai na jane kon si isme kami hai
hume unki jarurat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai
jise samjhe the hum afsana kal tak vo afsana hakikat to nahi hai
jo humse dur bhi hai pas bhi hai kahi unse mohabbat to nahi hai
kahi unse mohabbat to nahi hai kahi unse mohabbat to nahi hai