Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jise Dil Me Basana Chaha Tha
|
Talat Mehmood | Madan Mohan | ||||
Ada (1951) | Behzad Lucknavi | Sad Songs | |||||
jise dil me basana chaha tha
use dil me apne basa na sake
par ab yeh tamanna hai dil ki
hume yaad bhi uski aa na sake
dhoka yeh tera kab tak chalta
jo hal tha akhir khul ke raha
jo hal tha akhir khul ke raha
dil tut gaya achha hi hua
hum aur to thokar kha na sake
jise dil me basana chaha tha
use dil me apne basa na sake
ab aur nahi uljhan koyi
ek chiz abhi tak baki hai
ek chiz abhi tak baki hai
kyun gair ko hum apna samjhe
is gam ko dil se bhula na sake
jise dil me basana chaha tha
use dil me apne basa na sake
par ab yeh tamanna hai dil ki
hume yaad bhi uski aa na sake