Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jis Din Is Duniya Se Nafrat Aur Khudgarzi Mit Jayegi
|
Mohammed Rafi | Chitragupt | Rajendra Kumar, Kamini Kadam | |||
Maa Baap (1960) | Rajinder Krishan | Philosophical Songs | |||||
o o o
jis din is duniya se nafrat aur khudgarzi mit jayegi

us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi
is tukde par haq mera hai us chappe par haq tera hai

is waham me jab tak hai duniya samjho ke dur savera hai
jab dukh sukh sab mil baatenge aur ulfat saaz bajayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi
insaan ke dil me jab tak bhi takat ka nasha aur lalach hai

ye duniya jahnnaum hi hogi ye aaj bhi sach kal bhi sach hain
jab apni apni mehanat hi sabki daulat kahlayegi
us roz ye insaan nachega us roz ye dharti gayegi
us roz ye dharti gayegi
suraj ka ujala sabka hain chanda ki chandiyan sabki hain

insaan abhi paida na hua tha reet ye kayam jab ki hain
jab dwip ke badal bikhrenge aur preet kiran muskayengi