Lyrics of Jine Ke Bahane Laakho Hain - जीने के बहाने लाखों हैं
jine ke bahane lakho hai, jina tujhko aaya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
jine ke bahane lakho hai jina tujhko aaya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
kya dil me tere araman nahi, duniya itni viran nahi

har taraf ujale hai phir bhi
har taraf ujale hai phir bhi, tere sath koi saya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
jine ke bahane lakho hai
kya gam hai jiska ilaj nahi, kal na tha agar kya aaj nahi

har gam ka marhum hota hai
har gam ka marhum hota hai, dil tune dikhalaya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
jine ke bahane lakho hai
tu dhundhe kahi jo karar mile, kisi mod pe bhi jo pyar mile

pyase ko jana padta hai
pyase ko jana padta hai, sagar chal ke aaya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
jine ke bahane lakho hai, jina tujhko aaya hi nahi
koi bhi tera ho sakta hai, kabhi tune apnaya hi nahi
kabhi tune apnaya hi nahi, kabhi tune apnaya hi nahi