Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jhuta Hi Pyar Kar Le
|
Geeta Dutt | Sardul Kwatra | ||||
Char Minar (1956) | Vishwamitra Adil | ||||||
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le jhutha hi sahi
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le jhutha hi sahi
do din ke liye koi ikrar kar le
do din ke liye koi ikrar kar le jhutha hi sahi
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le jhutha hi sahi
hamne bahut tujhko chhup-chhup ke dekha
hamne bahut tujhko chhup-chhup ke dekha
dil pe khichi hai tere kajal ki rekha
kajal ki rekha bani lakshman ki rekha
kajal ki rekha bani lakshman ki rekha
raam mein kyo tune ravan ko dekha
raam mein kyo tune ravan ko dekha khade khidki pe
khade khidki pe jogi savikar kar le jhutha hi sahi
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le jhutha hi sahi
pyar kar le jhutha hi sahi
dhire se jade tere nain bade jis din se
lade tere dar pe pade
dhire se jade tere nain bade jis din se
lade tere dar pe pade
sun-sunkar teri nahi-nahi
jaan apni nikal jaye na kahi
jara ha kah de meri jaan kah de
jara ha kah de meri jaan kah de
jab rain pade nahi chain pade nahi
chain pade jab rain pade
mana tu sare hasino se hansi hai
mana tu sare hasino se hansi hai
apni bhi surat buri to nahi hai
apni bhi surat buri to nahi hai kabhi tu bhi
o kabhi tu bhi hamara didar karle jhutha hi sahi
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le jhutha hi sahi
pal bhar ke pyar pe nisar sara jivan
pal bhar ke pyar pe nisar sara jivan
ham wo nahi jo chhod de tera daman
apne hontho ki hansi ham tujhko denge
apne hontho ki hansi ham tujhko denge
aansu tere apni aankho mein lenge
aansu tere apni aankho mein lenge
tu hamari wafa ka aetbar kar le
tu hamari wafa ka aetbar kar le jhutha hi sahi
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le
pal bhar ke liye koi hame pyar kar le