The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Jay Ho Raadheshyaam Ki, II Hai Bambai Nagariyaa
0
Kishore Kumar Kalyanji Anandji Amitabh Bachchan
Don (1978) Anjaan Funny Songs, Masti Bhare Geet
Lyrics of Jay Ho Raadheshyaam Ki, II Hai Bambai Nagariyaa - जय हो राधेश्याम कि, ई है बम्बई नगरिया

jay ho raadheshyaam ki, jay ho siyaraam ki
aur jay ho bambaidhaam ki

e hai e hai e hai bambai nagariya tu dekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua
sone-chandi ki dagariya tu dekh babua
jaadu-tone ki bajariyaa me
jaadu-tone ki bajariyaa me, maaya ki nagariya me
badle, jhatpat badle muqaddar ka lekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua

o dekho dur-dur se, o dekho dur-dur se
log dur-dur se
ihaan aate hai daanv lagaane
ihaan aate hai daanv lagaane
des-gaanv chhod ke prit-pyaar tod ke
soyaa-soyaa nasiba jagaane
soyaa-soyaa nasiba jagaane
are apna kyaa hoga
are apna kyaa hoga, hoga so hoga
paasa humane diyaa hai phek babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua

o koi maalamaal hai
o koi maalamaal hai, koi tanghaal hai
zindagi hai ihaan ki niraali
zindagi hai ihaan ki niraali
maal kitna bharaa phir bhi dekho zaraa
ihaan har aadmi hai savaali
ihaan har aadmi hai savaali
bigdi banaa le are bigdi banaa le
tu cash karva le apne muqaddar ka cheque babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua

ye shaharo me shahar hai shahar bambaiva
are vaah-vaah bambaiva
yaha baat sabhi ulti phir bhi
vaah re vaah re bambaiya
bin paani kaa dhobi talaab dekho, dekho
ihaan reti pe paani kaa bhaav dekho, dekho
ghodo pe karodo kaa daanv dekho
hasino se sabhi kaa lagaav dekho
koi bandar nahi hai phir bhi naam baandra
church kaa gate hai, church hai laapata
church hai laapata, church hai laapata
ajab hai ye rang anokha hai dhang
nai hai tarag nai hai umang
koi kajus hai koi hai malang
machi hai yaha dekho aapas me jung aahaa
aapas me jung, aapas me jung
de ghumaa ke
are samandar me jaise hai ghul gai bhang
ye ragn dekh ke mai ho gayaa dang
to kyaa samajhe
e hai bambai nagariya tu dekh babua
e hai bambai nagariya tu dekh babua