Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jay Bolo Beimaan Ki
|
Mukesh Chand Mathur | Shankar Jaikishan | ||||
Beimaan (1972) | Verma Malik | Sad Songs | |||||
jay bolo beman ki jay bolo
beman ki jay bolo
jay bolo beman ki jay bolo
beman ki jay bolo
na ijjat ki chinta
na fikr koi apman ki
jay bolo beman ki jay bolo
jay bolo beman ki jay bolo
na ijjat ki chinta
na fikr koi apman ki
jay bolo jay bolo beman ki
beman ke bina maatre hote akshar char
b-se badkari e - se ershya
ma- se bane makkar
n- se namak hrami samjho ho gaye pure char
char gunah mil jaye hota beman tyar
are usse aankh milaye kya himmat hai saitan ki
jay bolo beman ki jay bolo, bolo
bhola mukhda ujale kapade maqn hai kala kala
jiski daya se mandir chalte hai aabad shiwala
nit mandir me pooja karta deepak jala jala kar
khush karta bhagwan ko dekho dhanta baja baja kar
andar bhagwan ki jay ho or bahar beman ki
jay bolo beman ki jay bolo bolo jay bolo
beman ki
seth bhi asali pet bhi asali nakali mal banaye
uper asali lekin andar nakali ghi or chay
katleen ka badal ke number terelyeen banaye
ya bemani tera aasara bol ke luta jaye
are apne desh ka kapda
or lagi hai muhar japan ki
jay bolo beman ki
vrandawan ke hum sanyasi kam hai chalte rahna
mauka hai takdir banalo hath na machte rahna
hath ki chudi pav ki payal ya ho gale ka gahna
mar ke mantar duguna kar de
mane agar tu kahna do din pichhe kholo lila
dekho bhagwan ki
jay bolo bhagwan ki jay bolo
jay bolo beman ki jay bolo
bhagwan ki jay bolo
puri sit par jatajut sang hai maharaz padhare
chimta charas chilam or chele
sath sath hai sare
tikte lekar bhi gadi men khade sharif bechare
or ye dekho bhagwan ke chamche pade hain pav pasare
bina tikat yatra karte dekho tirth sthan ki
jay bolo beman ki