Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jawani Badi Cheez Hai
|
Ismail Azad Qawwal | Bulo C Rani | ||||
Pedro (1960) | Anwar Farrukhabadi | ||||||
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
husnwalo ye jataye ki ya sitam thik nahi
ye sharart ye bahane ye kasm thik nahi
jise shohrat ho aisa koi kaam karo
husn ke naam ko duniya me na badnaam karo
ye jamana hai yaha zohra ji ki aur bhi hai
ek tu hi nahi duniya me hasi aur bhi hai
aaj kal ishq mohabbat ka me naa chahne walo ka me
husn phulo ki jawani hai sambhalo isko
char din ki jawani hai sambhalo isko
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
yaar gale ka bhi tum khub sila dete ho
jisko chaho usko miti me mila dete ho
dosti bhi nibhana nahi aata tumko
maar dete ho chilana bhi nahi aata tumko
aye hasino tumhe ulfat ki jawani ki kasam
mast jalwo ki mast jawani ki kasam
mast aadao ki kasam teerchi nighao ki kasam
udti julfo ki kasam jhumti baho ki kasam
tum agar chaho to jeene ka sahara ho jaye
jo ek bar tumko dekhe tumhara ho jaye
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
pyar me dil ka jalana koi tumse sikhe
aur waade pe na aana koi tumse sikhe
tum ho shahi se dusman ho jigar dil ke
tumne kaate hai mohabbat me gale dil ke
kya banawat hai ki har bar kasam khaate ho
apni aadat se magar baaj nahi aate ho
chul jate ho har ek baat badi muskil hai
aise aalam me mulakat badi muskil hai
aye ayenk ki nishani tumhe malum nahi
kisko kahete hai jawani tumhe malum nahi
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
baal aise hai ki barsaat bhi pani mange
chandni raat bhi dekhe to jawani mange
aisi aankhe
aisi aankhe ki jhalkte huye pyaale bhake
husn aisa ki dekhne wale sabhi bhake
julfe khul jaye to baadal ko pasina aaye
gungunata hua sawan ka mahina aaye
nabh aisi ki har cheez ko khali kar de
kya ishare hai ki pathr ko bhi pani kar de
kya ada hai
haaye kya ada hai jara ada ko pehchano
aye shalahkar hasino mera kahena mano
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
kya shararat hai apno ko satane ke liye
pyar karte ho jamane ko dekhane ke liye
jalwa dikhate ho diwana bana ke liye
waade karte ho ghutghut ke jalane ke liye
samne aate ho ayehshaan jatane ke liey
yani tum apna banate ho mitane ke liye
mehrba jiske huye usko sambhalne na diya
is tarha mara ki phru ki badlne na diya
yahi aalam hai ki ek din tumhe rona hoga
dil jalaoge to aangaro pe sona hoga
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo
apna bana lo gale se laga lo
jawani badi cheez hai husnwalo
ye din hai kisi ko bhi apna bana lo