Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jawaab Jiska Nahi
|
Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Mandheer, Jatin | ||||
Dil Hi Dil Mein (1982) | Anwar Farrukhabadi | Qawwalis | |||||
main haseena hun mera husan magar aam nahi
vo sitamgar hun ke jispar koi ilzaam nahi
apni mehboob ada pe bharosa hai mujhe
tumko apna na bana lun mera naam nahi
husan parwar kar pyaar ka dastoor nahi
ishq harjaayi ho ye bhi mujhe manzoor nahi
haan jiski ulfat ka ujala hai meri duniya mein
aankh se door sahi dil se mere door nahi
jawaab jiska nahi vo shbaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shbaab dekha hai ke chandni mein
haan ke chandnai mein chandnai mein
ke chandnai mein use benakaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
mujhe bhi tumne yahan benakaab dekha hai
mujhe bhi tumne yahan benakaab dekha hai
btaao mera mera mera btaao mera
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
kya lubhayenge ye jalwe ye nazaare mujhki yaad hai uski
yaad hansi uski nigaahon ke ishaare mujhko
chhup gya hai vo haseen mera baadal mein
isliye aankhen dikhaate hain sitaare mujhko mujhko
inhi sitaaro mein vo mehtaab dekha hai
inhi sitaaro mein vo mehtaab dekha hai
jwaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
jwaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
tum jawan ho to jawaani ke nazaare dekho
husan ke phool, husan ke phool husan ke phool adaaon pe sarre dekho
kin khyaalon mein ho ghum khoye ho kin khwaabon mein leke
in reshmi baahon ke sahaare dekho
ke bhool ja agar koi khwaab dekha hai
ke bhool ja agar koi khwaab dekha hai
kehte hain jise ishq dua hai dawa bhi
shola bhi hai mehboob ke daaman ki hawa bhi
ye ishq maseeha bhi kaatil ki ada bhi
mil jata hai is raah mein bandon ko khuda bhi
ke aashiqon ko yahan kamyaab dekha hai
ke aashiqon ko yahan kamyaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
jawaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
dekha hai dekha hai jwaab jiska nahi vo shabaab dekha hai
aashiq yahan dilbar ka jo mohtaaj na hota
to sar pe mere husan ka taaj na hota
hote to tumhaari tarah sab chahne waale
har dil pe haseeno ka raaz na hota
dilbaro ko sada kam yaad dekha hai
dilbaro ko sada kam yaad dekha hai
btaao mera mera mera
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
dekha hai dekha hai dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
btaao mera kahin bhi jawaab dekha hai
mera jalwa bhi kitna pyara hai
mera jalwa bhi kitna pyara hai kya tamasha
kya tamasha tamasha kya tamasha tamasha
kya tamasha tamasha tamasha tamasha
tere pyar ko kyun na dil mein jagah dun
kare tu ishara to jalwa dikha doon
jalwa jalwa kaisa jalwa hai jalwa jalwa kaisa jalwa hai
jalwa jalwa kaisa jalwa hai jalwa jalwa kaisa jalwa hai
ishq kab taaze hukumat ke liye marta hai
ishq to apne hi mehboob ke dam bharta hai
ishq jab chaahe jmaale rukhe laila deke
chad ke sooli pe vo dildaar ka jalwa dekhe
jalwa jalwa unka jalwa hai jalwa jalwa unka jalwa hai
jalwa jalwa unka jalwa hai jalwa jalwa unka jalwa hai
koi pata hai to koi khota hai koi pata hai to koi khota hai
ye tamasha to roz hota hai ye tamasha tamasha
ye tamasha tamasha kya tamasha tamasha
ye tamasha to roz hota hai
yehi aashiqi hai to vo khud ko mita de
vo jalwa dikhaaye to nazren jhuka de
jalwa jalwa unka jalwa hai jalwa jalwa kiska jalwa hai
kahan kho gaye ho kidher dekhte ho
ek main hun idher tum udher dekhte ho
jalwa jalwa unka jalwa hai
jalwa jalwa unka jalwa hai
jalwa jalwa kiska jalwa hai
jalwa jalwa kiska jalwa hai