Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Janeman Tum Kamaal Karti Ho
|
Kishore Kumar, Lata Mangeshkar | Khayyam | Shashi Kapoor, Hema Malini | |||
Trishul (1978) | Sahir Ludhianvi | Romantic Songs | |||||
kahte darti ho dil me marti ho
janeman tum kamaal karti ho
janeman tum kamaal karti ho
are kahte darti ho dil me marti ho
janeman tum kamaal karti ho
o janeman tum kamaal karti ho
aankho aankho me muskurati ho
baato baato me dil lubhati ho
narm saanso ki garm lahro se
dil ke taaro ko gudgudati ho
are in sab baato ka matlab puchhe to
rang chehre ka laal karti ho
o janeman tum kamaal karti ho
chup bhi rahiye ye kya kayamat hain
aap ki bhi ajib aadat hain
itna hugama kisliye aakhir
pyar hain ya koi musibat hain
jab bhi milte ho jane tum kya kya
ulte sidhe sawal karte ho
janeman tum kamaal karte ho
mastiya si faza pe chhayi hain
vadiya rang me nahai hain
narm sabz pe shokh phulo ne
makhmali chadare bichhayi hain
aah, chhodo sharmana aise mausam me
tabiyat kyu nihaal karti ho
ho janeman tum kamaal karti ho
jab bhi milte ho jane tum kya kya
ulte sidhe sawal karte ho
janeman tum kamaal karte ho
ae janeman tum kamaal karti ho
janeman tum kamaal karte ho