Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jane Mera Dil Kise Dhundh Raha Hai
|
Mohammed Rafi | Shankar Jaikishan | ||||
Laat Saab (1967) | Hasrat Jaipuri | ||||||
jane mera dil kise dhundh raha hai in hari-bhari vadiyo me

kabhi na kabhi toh takarayega dil dil se inhi aabadiyo me

yeh kiski lagan manjil-manjil har roj mujhe le jati hai
yeh kiski tamanna sine me jo aas ke dip jalati hai
jo aas ke dip jalati hai
o jane mera dil kise dhundh raha hai in hari-bhari vadiyo me
kabhi na kabhi toh takarayega dil dil se inhi aabadiyo me
jane mera dil kise dhundh raha hai in hari-bhari vadiyo me
jharno me nahati jalapariya kyon jane mujhe lalchati hai
jangal ki kanvari kaliya bhi has-has ke kayamat dhati hai
has-has ke kayamat dhati hai
o jane mera dil kise dhundh raha hai in hari-bhari vadiyo me
kabhi na kabhi toh takarayega dil dil se inhi aabadiyo me
jane mera dil kise dhundh raha hai in hari-bhari vadiyo me
jab dekhe bina madhosh hu mai dekhunga use toh kya hoga
kya nur bhari surat hogi, kya pyar bhara jalva hoga
kya pyar bhara jalva hoga