Lyrics of Jane Kab Honge Kam - जाने कब होंगे कम
jane kab honge kam is duniya ke gham
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam
jane kab, jane kab, jane kab, jane kab
jane kab, jane kab, jane kab, jane kab
jane kab honge kam is duniya ke gham
koi aas nahi ehsaas nahi
dariya bhi mila bujhi pyas nahi
koi aas nahi ehsaas nahi
dariya bhi mila bujhi pyas nahi
kiya jisne gila mili aur saza
jise dekho yaha wohi aankh hai nam
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam is duniya ke gham
aashiqi ka deeya jabse roshan kiya
dard sare zamane ka dil me diya
aashiqi ka deeya jabse roshan kiya
dard sare zamane ka dil me diya
rah gaya intzaar phir na lauti bahar
ujdi mehfil me ab ghut raha hai ye dum
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam is duniya ke gham
so gayi har gali so gaya ye shehar
apne halat se har koi bekhabar
so gayi har gali so gaya ye shehar
apne halat se har koi bekhabar
dil bujha hai yaha, yaha jaagti hai najar
kab talak hum sahe raat ke ye sitam
jane kab honge kam is duniya ke gham
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam is duniya ke gham
jeene ke vaaste roj marte hai hum
jane kab honge kam
jane kab, jane kab, jane kab, jane kab
jane kab, jane kab, jane kab, jane kab
jane kab honge kam is duniya ke gham