Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jane Jana Ye Humne Mana
|
Usha Mangeshkar, Krishna Kalle | Sardar Singh | ||||
Professor And Jadugar (1966) | Anjaan | ||||||
o jane jana ye humne mana
tum jamane mein bejod ho
ye khata chhodo ye dil na todo
kabhi najare idhar mod do
tum jamane mein bejod ho
haye tum jamane mein bejod ho
hansta wo suraj wo gora chanda
wo jagmagate sitare
teri saloni surat ke aage
fike hai sare ke sare
tera deewana hai ye jamana
ise chahe to chhod do
tum jamane mein bejod ho
haye tum jamane mein bejod ho
ye baakpan ye aankhe sharabi
jalim ye tewar nirale
jab samne tum aao sanwar ke
dil koi kaise sambhale
ye hamara muhaa tumahara
ise rakh lo ya tod do
tum jamane mein bejod ho
tum jamane mein bejod ho
pyasi hai kabse betab najre
ye pyas ab to bujha do
hamne luta di tum par jawani
hamko na aisi daga do
ye julm dhaao yu dil jalao
hai ye aadat buri chhod do
tum jamane mein bejod ho
tum jamane mein bejod ho