Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jan Gayi Rama Main Duniya Ka Pyar
|
Shamshad Begum | Bulo C Rani | ||||
Madhur Milan (1955) | Farooq Qaisar | ||||||
he bhaiya ho ho
he bhaiya
he bhaiya ho ho
he bhaiya
he bhaiya ho ho
he bhaiya
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
ho ke kisi ki najar ka shikaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
main bhi thi ek din ek jal ki machhriya
main bhi thi ek din ek jal ki machhriya
pad gayi ek jaalim ki mujhpe najariya
meri taraf jab usne jaal feka
chhod ke aa gayi apni nagariya
sab kuchh mai kar baithi us par nisaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
kha kha ke jhuthi mohabbat ki kasme
kha kha ke jhuthi mohabbat ki kasme
jaalim ne mujhko kiya apne bas me
itane me aayi najar aur machhali
itane me aayi najar aur machhali
sab tod baitha o chahat ki rasme
rah gayi tadap ke main bich bazaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
kya kya us machhli ko dega ab dhokhe
kya kya us machhli ko dega ab dhokhe
usko bhi chahat jatayega ro ke
jab fir tera bhed aakhir khulega
tadpega ek din tu barbaad hoke
tadpega ek din tu barbaad hoke
tere bhi dil par chalegi kataar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
ho ke kisi ki najar ka shikaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
jaan gayi rama main duniya ka pyaar
he bhaiya ho ho
he bhaiya
he bhaiya ho ho
he bhaiya
he bhaiya ho ho
he bhaiya
he bhaiya ho ho
he bhaiya