Lyrics of Jaise Suraj Ki Garmi Se Jalate Hue Tan Ko - जैसे सूरज की गर्मी से जलते हुए तन को
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
bhataka hua mera man tha koi
mil na raha tha sahara
bhataka hua mera man tha koi
mil na raha tha sahara
laharo se ladati hui nav ko
jaise mil na raha ho kinara mil na raha ho kinara
us ladakhdati hui nav ko jo kisi ne kinara dikhaya
us ladakhdati hui nav ko jo kisi ne kinara dikhaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya
shital bane aag chandan ke jaisi
raghav kripa ho jo teri
raghav kripa ho jo teri
ujiyali punam ki ho jae rate
jo thi amavas andheri, jo thi amavas andheri
yug-yug se pyasi marubhumi ne
jaise savan ka sades paya
yug-yug se pyasi marubhumi ne
jaise savan ka sades paya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya
jis rah ki mazil tera milan ho
us par kadam mai badhau
us par kadam mai badhau
phulo me kharo me, patjhad baharo me
mai na kabhi dagmagau, mai na kabhi dagmagau
pani ke pyase ko taqadir ne
jaise ji bhar ke amrit pilaya
pani ke pyase ko taqadir ne
jaise ji bhar ke amrit pilaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya
aisa hi sukh mere man ko mila hai
mai jabse sharan teri aya, mere ram
jaise suraj ki garmi se jalte hue tan ko
mil jaye taruvar ki chhaya