Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jaise Ankhon Se Aasu
|
Mohammed Rafi | Hridaynath Mangeshkar | ||||
Harishchandra Taramati (1970) | Virendra Mishra | Sad Songs | |||||
ek samay tha jab ki devta
sare tumse darte the
bijli pahra deti thi
aur badal pani bharte the aur aaj
jaise aankho se aasu
jaise aankho se aasu
aise nikle ho tum
khushiyo ka chaman luta kar
kis or chale ho tum
jaise aankho se aasu
mahlo ki dahli jhuthi
phulo ki veni tuti
raja se rank bane ho
phir bhi sabke apne ho
rote sare phalwasi
roti hai ek ek dasi
utre sabke chehre hai
sabke hi nain bhare hai
koi bhi kya badlega
jitne badle ho tum
khusiyo ka chaman luta kar
kis or chale ho tum
jaise aankho se aasu
tum satya veer tum dani
he dhanay hui kurbani
gum ki gathri kandhe par
aur dhram ki lathi lekar
tum dhukh me hasna sikhe
kya kahne is masti ke
jinko aage badhna hai
har sankat se ladna hai
andhiyara dhul jayega
jitne ujle ho tum
khusiyo ka chaman luta kar
kis or chale ho tum
bahte aanhko se aasu
faste ho kabhi daldal me
ya phir nadiya ke jala me
chubhte kate paavo me
uljhe ho kin bhavo me
tum nange pairo wale
pad gaye hai kitne chale
pad gaye hai kitne chale
auro ka dukh apne upar
khud odh chale ho tum
khushiyo ka chaman luta kar
kis or chale ho tum
jaise aankho se aasu