Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jaha Me Aayee Deewali Bade Charaagh Jale
|
Lata Mangeshkar | Hemant Kumar | ||||
Taj (1956) | Rajinder Krishan | ||||||
jaha me aayi diwali bade charaag jale
hamare dil me magar tere gham ke daag jale
jaha me aayi diwali bade charaag jale
hamare dil me magar tere gham ke daag jale
kadam kadam pe charaago ka aaj mela hai
bujha huwa mere dil ka diya akela hai
kabhi na aise kisi ki khushi ka baag jale
hamare dil me magar tere gham ke daag jale
ajib rang liye abb ke aayi diwali
ajib rang liye abb ke aayi diwali
kisi ne ghar ko jala ke manaayi diwali
udhar charaag idhar dil kaa daag daag jale
jamin pe utra huwa kaafila sitaaro ka
dilaaye yaad sama pyaar ki bahaaro ka
jo tum nahi ho toh kaise mera charaag jale
hamare dil me magar tere gham ke daag jale
jaha me aayi diwali bade charaag jale
hamare dil me magar tere gham ke daag jale