The Largest collection of Almost every Hindi Bollywood Songs at your fingertips. Click to play the song on YT while enjoying complete lyrics pf the songs. Browse them by Movies, Singers, Music Directors and Sing them in your next karaoke sessions.
Snap Mukhada Artist / Movie Music By / Lyricist Picturized on / Genre
0
Jab Honto Pe Katha Ye Aai
0
Lata Mangeshkar Laxmikant Pyarelal
Madhavi (1969) Anand Bakshi
Lyrics of Jab Honto Pe Katha Ye Aai - जब होंठों पे कथा ये आई

jab hontho pe katha ye aai
man tadapa aur aankh bhar aai
job hontho pe katha ye aai
man tadapa aur aankh bhar aai
ek samay kaurav paandav me
aisa yudh ghamasaan huaa
dharti khun me dub gayi
aur amber lahuluhaan huaa
haar lagi hone pandav ki
kaurav chal gaye ailsi chaal
dronachaary ne bichha diya
ranbhumi me chakrvihu ka jaal
o aisi bhayaanak hui ladaai
maut chali banke purwaai
jab hontho pe katha ye aai
man tadapa aur aankh bhar aai

yudh ke liye kiya maata ne
fir abhmanyu ko taiyaar
tilak lagaake, shastr sajaa ke
gale lagaake, aakhari baar
nanha sa sainik ja takraaya
shatru ki faujon se
chhota sa maanjhi na ghabraaya
tufaani maujon se

ho aisi bhayanak hui ladaai
maut badriyaa banke chhai
jab hontho pe katha ye aai
man tadapa aur aankh bhar aai