Lyrics of Jab Dard Nahi Tha Sine Me - जब दर्द नहीं था सिने में
na hansna mere gham pe insaf karna
jo main ro padu to mujhe maaf karna
jab dard nahi tha sine me tab khaq maza tha jine me

ab ke shayad ham bhi roye sawan ke mahine me

yaro ka gam kya hota hai, yaro ka gam kya hota hai
yaro ka gam kya hota hai malum na tha anjano ko
sahil pe khade hokar hamne dekha aksar tufano ko
ab ke shayad ham bhi dubey maujo ke safine me
jab dard nahi tha sine me tab khaq maza tha jine me
aise to thes na lagti thi jab apne rutha karte the
itna to dard na hota tha jab sapne tuta karte the
ab ke shayad dil bhi tute
ab ke shayad ham bhi roye sawan ke mahine me
jab dard nahi tha sine me tab khaq maza tha jine me
is qadar pyar to koi karta nahi
marne walo ke sath koi marta nahi
aap ke samne main na phir aaunga
git hi jab na honge to kya gaunga
meri awaz pyari hai to dosto
yar bach jaye mera dua sab karo, dua sab karo