Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Jab Aanchal Raat Ka Lahrae
|
Rajendra Mehta, Nina | Govindprasad Jaipurwala | ||||
Yahan Wahan (1984) | Prem Warbartani | Masti Bhare Geet | |||||
jab aachal rat ka lahraye or sara aalam so jaye
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
jab aachal rat ka lahraye
le tajmahal jo chahat ki aankho ka sunhara moti hai
har rat jaha do ruho ki khamoshi jinda hoti hai
is taj ke saye me aakar tum geet wafa ka dohrana
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
jab aachal rat ka lahraye
tanhayi hai jagi jagi si mahal hai soya soya hua
jaise ke tumhare khwabo me khud taj mahal ho khoya hua
tajmah ka khwab tumhi ye raz na maine pahchana
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
jab aachal rat ka lahraye
jo maut mohabbat me aaye wo jan se badhkar pyari hai
do pyar bhare dil roshan hai do rat bahut andhiyari hai
tum rat ke is andhiyare me bas ek jhalak dikhla jana
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
jab aachal rat ka lahraye or sara aalam so jaye
tum milne shama jalakar taj mahal me aa jana
tum taj mahal me aa jana tum taj mahal me aa jana