Lyrics of Jaanwaro Me Seedha Sadha - जानवरों में सीधा साधा
janwaro me sidha sadha
ye hai ek jo paya
janwaro me sidha sadha
ye hai ek jo paaya
mehant karta rahta
jo bhi lado wahi ladaya
samjh me aaya tullu ji
nahi aaya
kuda karkat ghas paat
jo bhi paya so khaya
kuda karkat ghas paat
jo bhi paya so khaya
dil ka saccha akal ka kaccha
ye prabhu ki maya
samjh me aaya, haan aaya
to bolo kya hai
to bolo kya hai, gadha
fagun me khush hota hai vo
par sawan me rota hai vo
ale baap re ye to bahut rota hai
dullu ji ye kyu rota hai
fagun me sukha haryala uske najar na aaye
sab kuch usne khaya samjh ke phula na samaye
saaf na paye jidhar vo apni najar ghumaye
kuch bhi chara nahi usne aisa munh banaye
aur mote mote ask bahaye
to bolo kya hai, kya hai
to bolo kya hai, kya hai, gadha
insano me bhi hote hai
gadhe tumhe batlaye
jo apni aukat ko bhule
bolo to vo kya hai
insano me bhi hote hai
gadhe tumhe batlaye
jo apni aukat ko bhule
bolo to vo kya hai
aise gadhe ko kya samjhe
ho chand se aankh milaye
chand chakor ka pyar jo ho to
apni samjh me aaye
gadha bawra chand se aankh milaye
chand se aankh milaye
gadha bawra, bawra, bawra