Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Itni Badi Duniya Me Nahi Koi Hamara
|
Lata Mangeshkar | Shaukat Dehlvi Nashad | ||||
Aaiye (1949) | Nakhshab Jaaravchi | Sad Songs | |||||
dil ki uljhan apna gam de aasra isse sahe
puch ye tha ke hum mar jaye ya jeete rahe
itni badi duniya me nahi koi humara nahi koi humara
kya tu bhi nahi tute huye dil ka sahara
nahi koi humara itni badi duniya me nahi koi humara
pehlu me mere dil hai magar
pehlu me mere dil hai magar
dard se bharpur majbur hu majbur
duniya ne sataya mujhe
duniya ne sataya mujhe taqdeer ne mara
kya tu bhi nahi tute huye
dil ka sahara nahi koi humara
tune na suni dard bhare dil ki kahani
o dard bare dil ki kahani
o ji sunani tujhko thi sunani
bhagwan tujhe dil ne bhagwan tujhe dil ne
kayi baar pukara kya tu bhi nahi
tute huye dil ka sahara
nahi koi humara itni badi
duniya me nahi koi humara
kab tak bhala tufaa ke thapedo se ladenge
kya jee ke karenge kashti ko dubo denge
kashti ko dubo denge jo paya na kinara
kya tu bhi nahi tute huye dil ka sahara
nahi koi humara