Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Is Pyar Ki Basti Me
|
Babul, Suman Kalyanpur | Bipin Babul | ||||
Jungle King (1959) | Anjum Jaipuri | ||||||
is pyar ki basti me hum rahte hai masti me
duniya hume kya samjhe duniya hume kya jane

hum pyar ke matvale dusman bhi hume pyara
dharti pe hamari hai aakash ka navtara

ye desh hamara hai hum iske hai divane
duniya hume kya samjhe duniya hume kya jane
is pyar ki basti me hum rahte hai masti me
duniya hume kya samjhe duniya hume kya jane
apni to jamane se har baat nirali hai
har din hai yaha holi har raat diwali hai

rakhte nahi gam koi aazad hai mastane
duniya hume kya samjhe duniya hume kya jane
is pyar ki basti me hum rahte hai masti me
duniya hume kya samjhe duniya hume kya jane
sauda nahi hota hai ulfat me yaha dil ka
bas ek hi rasta hai dil valo ki manzil ka

aankho me mohabbat hai hotho pe hai afsane