Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Is Jaha Ka Pyar Jhuta
|
Manna Dey, Asha Bhosle, Mohammed Rafi | Chitalkar Ramchandra | ||||
Amar Deep (1958) | Rajinder Krishan | Masti Bhare Geet | |||||
is jaha ka pyar jhutha yar ka ikrar jhutha
ha bhi jhuthi na bhi jhuthi sara karobar jhutha
is jaha ka pyar jhutha yar ka ikrar jhutha
pahle khat likhte the aashik apne dil ke khun se
ab to khusbu itar ki aane lagi hai us majmun se
ha ha us majmun se dil ka har diwar jhutha
maut ka bhi pyar jhutha ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
sara karobar jhutha is jaha ka pyar jhutha
yar ka ikrar jhutha
ghumti firti hai ghumti firti hai laila
ab to motar car me ab to motar car me
or cycle pe miya majnu mile bazar me
ho uth or mahmil kaha ab to hotel hai miya
jab masuri ko chali jati hai shiri june me
to miya farhad aa jate hai dehradhun me
ab na tesha na pahad ishq ka gulshan ujad
ful jhute khar jhuthe pyar ka guljar jhutha
pyar ka guljar jhutha ha bhi jhuthi na bhi jhuthi
sara karobar jhutha is jaha ka pyar jhutha
yar ka ikrar jhutha
ab kaha wo pahle jaise dilbari ke rang bhi
haye dilbari ke rang bhi kya se kya ho gaye
ab aashiqi ke dhang bhi ishq ke rang bhi
dilbari ke rang bhi ishq ka izhar bhi jhutha
ha bhi jhuthi na bhi jhuthi sara karobar jhutha
is jaha ka pyar jhutha yar ka ikrar jhutha