Lyrics of Is Hirsoo Hawas Ki Duniya Me Armaan Badalte Dekhe Hai - इस हिस्रो हवस की दुनिया में अरमान बदलते देखे है
is hirso hawas ki duniyaa mein
armaan badalte dekhe hai
dhokha hai yaha laalach hai yaha
imaan badalte dekhe hai
daulat ke sunehre jaadu se
ae dil tadapnaa achhaa hai
chaandi ke khanakte sikko par
insaan badalte dekhe hai
qaid maangi thi rihaai to nahi maangi thi
teri zulfon se judaai to nahi maangi thi
qaid maangi thi rihaai to nahin maangi thi
maine kya julm kiya, aap khafaa ho baithe

pyaar maanga tha khudaayi to nahi maangi thi
qaid maangi thi rihaai to nahi maangi thi
mera haq tha teri, aankho ki chhalkti may par

cheej apni thi, paraayi to nahi maangi thi
qaid maangi thi rihaai to nahi maangi thi
apne bimaar pe, itana bhi sitam thik nahi

teri ulfat me buraai to nahi maangi thi