Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Is Duniya Ki Pagadandi Par
|
Amirbai Karnataki | Saraswati Devi | ||||
Amrapali (1945) | |||||||
is duniya ki pagdandi par tumhi ho mere sathi
ek tumhi ho mere sathi is duniya ki pagdandi par
tumhi ho mere sathi ek tumhi ho mere sathi
mere dhundhle jiwan path par
tumhi haza ke pati ek tumhi ho mere sathi
tum ho mere din ke suraj mere rat ke chanda
tum ho mere din ke suraj mere rat ke chanda
tumne mujhko bandh liya hai dal prem ka fanda
mere rajkumar hanso mere rajkumar hanso
main tumpe bali bali jati ek tumhi ho mere sathi
is vishal sansar me main thi akeli
kaap rahi thi mere jiwan beli
kaap rahi thi mere jiwan beli
lekin jis din tumko paya
maine man ko dheer bandhaya
apne ghar ko swarg samjh main
phuli nahi samati is duniya ki pagdandi par
tumhi ho mere sathi ek tumhi ho mere sathi