Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Is Dard Ki Mari Duniya Me Mujhsa Bhi Koi
|
Lata Mangeshkar | Ghulam Mohammad | Madhubala, Rehman, Kamini Kaushal | |||
Paras (1949) | Shakeel Badayuni | Sad Songs | |||||
is dard ki mari duniya me
mujhsa bhi koi majbur na ho
is dard ki mari duniya me
mujhsa bhi koi majbur na ho
jis tarah khushi se dur hu mai
jis tarah khushi se dur hu mai
yu koi khushi se dur na ho
yu koi khushi se dur na ho
ujade hue dil me kuch bhi nahi
ashko ke siwa aaho ke siwa
ujade hue dil me kuch bhi nahi
ashko ke siwa aaho ke siwa
kyu aise chaman me phul khile
kyu aise chaman me phul khile
hasne ka jaha dastur na ho
hasne ka jaha dastur na ho
tufan hai gum ka charo taraf
aur chayi hui hai kaali ghata
tufan hai gum ka charo taraf
aur chayi hui hai kaali ghata
kyu naiya hamari paar lage
kyu naiya hamari paar lage
kismat hi ko jab manjur na ho
kismat hi ko jab manjur na ho
is dard ki mari duniya me
mujhsa bhi koi majbur na ho