Lyrics of Insaaf Ki Dagar Pe Bachcho Dikhaao Chal Ke - इन्साफ की डगर पे, बच्चो दिखाओ चल के
insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke
ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke

duniya ke rang sahna aur kuch na munh se kahna

sachchaiyo ke bal pe aage ko badhate rehna

rakh doge ek din tum sansar ko badal ke
rakh doge ek din tum sansar ko badal ke
insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke
ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke
apne ho ya paraye sabke liye ho nyaye
apne ho ya paraye sabke liye ho nyaye
dekho kadam tumhara haragiz na dagamagaye

raste bade kathin hai chalna sambhal-sambhal ke
raste bade kathin hai chalna sambhal-sambhal ke
insaf ki dagar pe, bachcho dikhao chal ke
ye desh hai tumhara, neta tumhi ho kal ke
insaniyat ke sar pe izzat ka taaj rakhna

tan man bhi bhet dekar bharat ki laaj rakhna

jivan naya milega antim chita me jal ke