Lyrics of Inasaanon Ne Paise Ke Liye - इंसानों ने पैसे के लिए
insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala

hanste baste ghar phunk diye dharti ko nark bana daala
mitti se nikala sone ko, sone se banaae mahal magar

jajbaato ke naazuk rishte ko mitti ke tale dafna daala
insaano ne paise ke liye aapas ka pyaar mitaa daala
din aur dharam ko haar diyaa neki ko badi par vaar diya

mandir masjid aur girjo ko baiko ki bhet chadha daala
pyaar apne jagah khud daulat hai
ye baat naa samajhi insaa
pyaar apne jagah khud daulat hai
ye baat naa samajhi insaa
kudrat ki banaai daulat kaa sikko me mol laga daala