Lyrics of Ik Labz-Ae-Muhabbat Kaa - इक लफ़्ज़-ए-मोहब्बत का
ek lafz-e-mohabbat ka adna sa fasana hai

simate toh dil-e-aashiq
simate toh dile aashiq, faile toh jamana hai
ik labze muhabbat kaa adna sa fasana hai
ek lafz-e-mohabbat ka
hum ishq ke maro ka itna hi fasana hai
hum ishq ke maro ka itna hi fasana hai
rone ko nahi koyi, hasne ko zamana hai
rone ko nahi koy hasne ko zamana hai
yeh ishq nahi aasan bas itna samajh lije

ek aag kaa dariya hai aur dub ke jana hai

woh husno jamal un ka, yeh ishq-o-shabab apna

jine ki tamanna hai, marne kaa jamana hai

ashko ke tabassum me, aaho ke tarannum me

masum muhabbat kaa masum fasana hai
masum muhabbat kaa masum fasana hai
kya husn ne samajha hai, kya ishq ne jana hai

ham khak-nashino ki thokar me jamana hai

ya woh the kafa ham se, ya ham the kafa unse

kal unka jamana tha aaj apna jamana hai
kal unka jamana tha aaj apna jamana hai
aansu toh bahut se hain aankho me jigar lekin

bindh jaye so mita hain, rah jaye so dana hai
bindh jaye so mita hain, rah jaye so dana hai
ik labze muhabbat kaa adna sa fasana hai
ik labze muhabbat kaa adna sa fasana hai
simate toh dile aashiq
simate toh dile aashiq, faile toh jamana hai
ik labze muhabbat kaa adna sa fasana hai
hai ishqe junun pesha han ishqe junun pesha
ek sitamgar ko aaj hans hans ke rulana hai