Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Ik Aas Bandhaye Jaati Hai
|
Lata Mangeshkar | Shyam Sundar | ||||
Lahore (1949) | Rajindra Krishan | ||||||
ik aas bandhaye jaati hai
ik aas mitaye jaati hai
ummeed ke rangeen jhoole me
taqdeer jhulaye jaati hai
taqdeer jhulaye jaati hai
abaad kiya tha jis dil ko
kar daala phir barbaad usse
is tarah kiya ke ghum ke siva
kuchh aur raha na yaad use
jis dil mein pyar basaya tha
ik dard basaye jaati hai
ik dard basaye jaati hai
ummeed ke rangeen jhoole me
taqdeer jhoolaye jaati hai
taqdeer jhoolaye jaati hai
asha ki sachhi kalion ko
asha ki sachhi kalion ko
khilne se pahele peen liya
ik geet jagakar hothon par
ik geet jagakar hothon par
gaane se pahele chhin liya
do roz jhulakar phulon me
kaanton me rulaye jaati hai
kaanton me rulaye jaati hai
ummeed ke rangeen jhoole me
taqdeer jhulaye jaati hai
taqdeer jhulaye jaati hai