Lyrics of Huzur Itanaa Agar Ham Par Karam Karate - हुज़ूर इतना अगर हम पर कर्म करते
huzur itna agar ham par karam karte to achchha tha

tagaaful aap karte hai sitam karte to achchha tha

kaha kisne ke ye jor-o-jafa mat kijiye ham par

bas itni si guzarish hai ke kam karte to achchha tha
huzur itna agar ham par karam karte to achchha tha
khuda ki maharabaani hai, khuda ki, khuda ki
khuda ki maharabaani hai ke achchhe hai magar gam hai

khuda ne maharabaani ki sanam karte to achchha tha
huzur itna agar ham par karam karte to achchha tha
gazal me dard-o-gham apne bayaan karne se kya hoga

ye baate ham unhe khat me raqam karte to achchha tha