Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Husn Wale Teraa Jawab Nahee
|
Mohammed Rafi | Ravi | Rajendra Kumar, Asha Parekh | |||
Gharana (1961) | Shakeel Badayuni | Filmfare Awards Winner, Tareef Songs, Filmfare Awards Nominee, Romantic Songs | |||||
husn wale tera jawab nahi
husn wale tera jawab nahi
koyi tujh sa nahi hajaro me
husn wale tera jawab nahi
tu hai aisi kali jo gulshan me
saath apne bahar layi ho
tu hai aisi kiran jo raat dhale
chandani me naha ke aayi ho
ye tera nur ye tere jalwe
jis tarah chand ho sitaro me
husn wale tera jawab nahi
teri aankho me aisi masti hai
jaise chhalke huye ho paimane
tere hontho pe wo khamoshi hai
jaise bikhre huye ho afsane
teri julfo ki aisi rangat hai
jaise kaali ghata baharo me
husn wale tera jawab nahi
teri surat jo dekhle shair
apne shero me taazagi bhar le
ik musafir jo tujhko pa jaye
apne khwabo me zindagi bhar le
nagmagar dund le agar tujhko
dard bhar le wo dil ke taro me
husn wale tera jawab nahi
koyi tujh sa nahi hajaro me
husn wale tera jawab nahi