Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Husn Wale Bhi Ghazab Karte Hai
|
Mahendra Kapoor | Usha Khanna | ||||
Aag (1967) | Asad Bhopali | ||||||
husn wale bhi ghazab karte hai
dil isharo se talab karte hai
yu to har baat ka hota hai jawab
hum hasino ka adab karte hai
aapne phir ki shararat dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat dekhiye dekhiye
haye buri hai dil ki halat dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat
janeman ye shokhiya achi nahi
janeman ye shokhiya achi nahi
hum bhi kar baithe na gustakhi kahi
phir na kijega shikayat dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat dekhiye dekhiye
haye buri hai dil ki halat
sah rahe hai isliye zulmo sitam
sah rahe hai isliye zulmo sitam
ek din chumenge in zulfo ko hum
kab mile itni ijajat dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat dekhiye dekhiye
haye buri hai dil ki halat
shokh aankho me garur aa jayega
shokh aankho me garur aa jayega
zindagi me ek sharur aa jayega
aap bhi karke mohabbat
ho dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat dekhiye dekhiye
haye buri hai dil ki halat dekhiye dekhiye
aapne phir ki shararat