Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Husn Me Bhi Hai Nasha Jham Me Bhi Hai Nasha
|
Asha Bhosle | Daan Singh | Dara Singh | |||
Toofan (1969) | Akhtar Romani | ||||||
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha
peene wale dekh pee ke fark hai dono me kya
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha
ye aadaye ye nazare yhe lachak ye sokhiya
tujhko masti me pukare koi tera mehrban
aag ye tune lagai aag ye tu hi bujha
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha
aaj dil bahke to bahke hosh ka mat naam le
aaj dil bahke to bahke hosh ka mat naam le
do ghadi madhosh rahke bekhudi se kaam le
khud bhi pee ankho se mere or mujhko bhi pila
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha
aaj har parda utha de tujhko chahat ki kasam
aaj har doori mita de tujhko teri hi kasam
mai bana du husan tujhko ishq tu mujhko bana
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha
peene wale dekh pee ke fark hai dono me kya
husn me bhi hai nasha jaam me bhi hai nasha