Lyrics of Husn E Maghroor - हुस्न ए मगरूर
husn-e-magrur ne palko ko jhuka rakha hai
raaz ulfat ka nigaho me chupa rakha hai
ishq khuddar hai vo bhi na juban kholega
fasla ishq me dono ne badha rakha hai
yu mile ki mulakat ho na saki
yu mile ki mulakat ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
yu mile ki mulakat ho na saki
yu mile ki mulakat ho na saki
ho na saki, ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
har najar ek nayi dastan keh gayi
har najar ek nayi dastan keh gayi
unko shikva hai ke baat ho na saki
unko shikva hai ke baat ho na saki
har najar ek nayi dastan keh gayi
har najar ek nayi dastan keh gayi
dastan keh gayi, dastan keh gayi
unko sikva hai ke baat ho na saki
ye husn ye ada ye jawnai ye baakpan
jaise bhari bahar ke aagosh me chaman
chehre pe rango noor ki barsi hui ghata
rangeen si nigah me rangeen sa nasha
julfe khule to chum le sawan ki badliya
najare uthe to raks me aa jaye bijaliya
ye phul se hotho pe baharo ke fasane
dhala hai tumhe noor ke sanche me khuda ne
dhala hai tumhe noor ke sanche me khuda ne
noor jalvo ka mehfil me barsa magar
noor jalvo ka mehfil me barsa magar
dil ke daman pe barsaat ho na saki
yu mile ki mulakat ho na saki
yu mile ki mulakat ho na saki
ho na saki, ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
shama ka husn dekh ke parvane jal gaye
lo aaj apni aag me diwane jal gaye
dekha jo ranje husn tabiyat machal gayi
beikhtiyar aahate dil se nikal gayi
chhuta jo hath hath se sabro karar ka
ja aage badh ke tham le daman bahar ka
dekha hai kahi raat ke raahi ne savera
bhatke hue dilo ka mukadar hai andhera
bhatke hue dilo ka mukadar hai andhera
panv utate to gesuye manjil magar
panv utate to gesuye manjil magar
raah ki roshni sath ho na saki
raah ki roshni sath ho na saki
har najar ek nayi dastan keh gayi
har najar ek nayi dastan keh gayi
ji dastan keh gayi
unko sikva hai ke baat ho na saki
unko sikva hai ke baat ho na saki
tere siva jahan me koi dusra nahi
ae husn ye gurur ye dava baja nahi
ham kya hai hame dekh tu hamse najar mila
hamne kiya hai tumse mohabbat se aasna
pattar ko dard baks diya dil bana diya
chaha tumhe to naaz ke kabil bana diya
hasti ko teri hamne sanwara saja diya
jarre ko aasman ka sitara bana diya
jarre ko aasman ka sitara bana diya
aankh uthne se pehle hi sharma gayi
aankh uthne se pehle hi sharma gayi
julf bikhari par raat ho na saki
julf bikhari par raat ho na saki
yu mile me mulakat ho na saki
yu mile me mulakat ho na saki
ho na saki, ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
hoth kanpe magar baat ho na saki
machle hai sare badan diwane husn ke
samjhenge nadan kya afsane husn ke
shabnam hi nahi shola sharara bhi hai ye husn
ek phul hi nahi hai angara bhi hai ye husn
nagmo ka tarannum bhi hai aaho ka taaz bhi
raato ki bekarari bhi khawabo ka raaz bhi
saudaai husn ke jara aaram se baithe
jo thamne aaye hai to dil tham ke baithe
bajiye jaan dil to lagi baar hai
bajiye jaan dil to lagi baar hai
husn ko par kabhi maat ho na saki
husn ko par kabhi maat ho na saki
unko shikva hai ke baat ho na saki
unko shikva hai ke baat ho na saki
unko shikva hai ke baat ho na saki
har najar ek nayi dastan keh gayi
har najar ek nayi dastan keh gayi
ji dastan keh gayi
unko shikva hai ke baat ho na saki
unko shikva hai ke baat ho na saki