Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Humse Na Dil Ko Lagana Musafir
|
Madan Mohan, Shamshad Begum | Madan Mohan | ||||
Aankhen (1950) | Raja Mehdi Ali Khan | ||||||
hamse na dil ko lagana musafir
hamse na dil ko lagana ji
apna mohalla jaaoge bhul babu
hamri gali nahi aana ji
nau rupaye ka hait kharida
aur pandra ki haktai
ha pyar ka sauda karne aaye
hum le ko ko baai
tirchhi najar se dekha tumhe balkhake
jo li angdai
to hait girega paav mein ja
dhilli ho jaayegi naktai
kahe ko tum apne dil ko banate
hamri najar ka nishana ji
apna mohalla jaaoge bhul babu
hamri gali nahi aana ji
gora mukhada chand sa
ghunghat aayegi odh
ek jhalak hum dekh ke
usko ghar jayenge laut
gore gore mukhde se ghunghat hata ke
hamne kiya jo ishara
to doudegi chhan chhan bijli badan mein
din hi mein dikhenge taara
kahe ko aisa dhandha karo
jo pichhe pade pachhatana ji
apna mohalla jaaoge bhul babu
hamri gali nahi aana ji
hamse na dil ko lagana musafir
hamse na dil ko lagana ji
apna mohalla jaaoge bhul babu
hamri gali nahi aana ji