Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Humko Kyun Dushman Samajhte Ho
|
Hanuman Prasad | |||||
Nai Maa (1946) | Ramesh Gupta | ||||||
humko kyu
humko kyu dushman samjhte ho
tumhe kya ho gaya
haye ummido ke jagte hi
mukaddar so gaya
zindagi ke haye ab to
sab sahare chhut gaye
hum bharose ki tarah se
mai kisi ke lut gaye
ab khushi ka geet bhi
gum ka tarana ho gaya
ab khushi ka geet bhi
gum ka tarana ho gaya
apne hatho hi bandhe hum
julm ki janjir me
julm ki janjir me
thokre khana hi likha
tha meri takdir me
tha meri takdir me
tumne aankhe pher li
dushman zamana ho gaya
tumne aankhe pher li
dushman zamana ho gaya
humko kyu
humko kyu dushman samjhte ho
tumhe kya ho gaya