Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Humein Duniya Ko Dil Ke Zakhm
|
Lata Mangeshkar, Mohammed Rafi | Husnlal Bhagatram, Hansraj Behl | ||||
Aadhi Raat (1950) | Asad Bhopali | ||||||
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
tadap lete hain lekin unko tadapana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
ghadi bhar ke liye bhi dur unse rah nahi sakte
tumhe hum chahte hain unse ye bhi kah nahi sakte
na jane kyun juba par dil ka afsana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
koyi halat ho duniaa pyar ki aabad rahti hain
kabhi jab wo nahin hote to unki yaad rahti hain
mohabbat wo kali hain jisko murjhana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
umange jaag uthi hain tamanna muskarai hain
humare dil ne armaano ki ik mehfil sajai hain
ye wo mehfil hain jisme koyi begana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata
tadap lete hain lekin unko tadapana nahi aata
humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata