Lyrics of Hume Garv Hai Hum Shudra Hai - हमे गर्व है हम शुद्र है
ye dharm manav seva ka
jo hai bada har dharm se
ho ho ho ho ho ho
ye dharm manav seva ka
jo hai bada har dharm se
ye unch aur ye neech
insan banta apne karmon se
balidan shudron ka bhala
ye samaj kyon nahi manta
varchaswa apna hi liye
hathi na iske saman ka
ye bheem apna mantra hai
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai
ye raudra roop shudra ka hunkar bhar yuva
vichitr bhed bhav se kyon bana ye jaat paat
shoshan se trast hai hua wo aaj itna kruddha hai
ho raha hai ekjut ye asmita ka yuddh hai
hai maas ke hi hum bane, hai ragon mein rakt laal
kya hai unch kya hai neech, puchhta yahi sawal
bhor ka bigul baja dhal rahi ye sham hai
maut ko naman mera bheem ko pranam hai
ye panv mukta ab huye ghungruvo ke shor se
na mitenge paap chinha pallavon ke chhor se
vanchit hua kyon mandiron se, jal pe koi haq nahi
shiksha se dur kyon kiya, di aushadhi talak nahi
varshon ki kuntha phutkar, astra le nikal padi
itihas ko badal de jo aa gayi hai wo ghadi
ab samajh le ye samaj shudra bhi insan hai
maut ko naman mera bheem ko pranam hai
hai vaalmiki ne rach diya, wo ramayan hai vandita
utkrisht dohe kabeer ke, ravidas santon ke pita
parihar sahu jyotiba, hai shudro ki ek dastan
hai jal rahi jo ab talak, wo beersa munda ki chita
ye bheem apna mantra hai
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai hum shudra hain
hame garv hai