Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Yatimo Ke
|
Vani Jairam | O P Nayyar | ||||
Khoon Ka Badla Khoon (1978) | S H Bihari | ||||||
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
koi bachha kahi besahara naa ho
jaise hum hai nasibo ke maare hue
aisa koi nasibo ka mara naa ho
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
koi bachha kahi besahara naa ho
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
aapne hath sar par agar rakh diya
to sawar jaayegi dukh bhari jindagi
aap dekhenge ek din humme se bhi
koi gandhi banega jawahar koi
koi gandhi banega jawahar koi
aaj to hum vo tuti hui naav hai
jiski kismat me koi kinara naa ho
jaise hum hai nasibo ke maare hue
aisa koi nasibo ka mara naa ho
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
koi bachha kahi besahara naa ho
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
sari duniya hai aankho me ujdi hui
sari duniya hai aankho me ujdi hui
koi kal ki baharo ka sapna nahi
koi kal ki baharo ka sapna nahi
aisa koi nahi dukh humara sune
gair hai sab yaha koi apna nahi
gair hai sab yaha koi apna nahi
har ghadi ho raha hai jo humpar sitam
ye sitam ab kisi par dobara naa ho
hum yatimo ke jaisa bhi sansar me
koi bachha kahi besahara naa ho