Snap | Mukhada | Artist / Movie | Music By / Lyricist | Picturized on / Genre | |||
---|---|---|---|---|---|---|---|
|
Hum Tum Yug Yug Se
|
Mukesh Chand Mathur | Laxmikant Pyarelal | Sunil Dutt, Nutan | |||
Milan (1967) | Anand Bakshi | Romantic Songs | |||||
hum tum
hum tum yug yug se ye geet milan ke
gaate rahe hain gaate rahenge
hum tum jag me jeevan saathi bankar
aate rahe hain aate rahenge
hum tum
jab jab hamne jeevan paya
jab jab ye rup saja sajna
har baar tumhi ne maang bhari
tumhi ne pehnaye kangana
hum phool bane ya raakh huye
par saath nahi chhoota apna
har baar tumhi tum aan base
in aankho me bankar sapna
hum tum yug yug se ye geet milan ke
gaate rahe hain gaate rahenge
hum tum
hum aaj kahe tumko apna
hum tum kisi roz paraye thhe
baaho ke haar tumhe humne
barso pehle pehnaaye the
duniya samjhi hum bichhad gaye
aise bhi zamaane aaye the
lekin woh juda honewaale
hum nahi hamare saye the
hum tum yug yug se ye geet milan ke
gaate rahe hain gaate rahenge
hum tum